Header Ads Widget

Bate Na Dohrana


Purani bate aab na doharana, 

Sach kahu to chahta sab bhul jana, 

Nayi bat nayi sharuat karna,

Vakt ke sath sikha mene badlana, 

Iasiliye aab purani bate na dohrana. 


Jajbaat pata nahi sare mar gaye, 

Thokar lag chuki par sambhal gaye,

Hal mat puchhana aab ghav bhar gaye, 

Aab sukoon zindagi kahi dhundh rahe, 

Isilye aab purani bate na dohrana. 


Naseeb me kya likha kya pata ?

Kuchh bhi ho aab kya ghabhrana, 

ladna hai sab se to kis bat ka darna, 

Bas aab purani galati nahi hai karna, 

Apani pahechan ko aur hai badana, 

Isiliye aab purani bate na dohrana. 


Ankho me nami ko chhupa rakha, 

Apno me mene chup rehna sahi samja, 

Par akela man bahut kuchh ke raha, 

Bas me yuhi kuchh door chala gaya, 

kahi khudase to kahi apno se me, 

Isiliye aab purani bate na dohrana. 



Writen by 

Harsh Rathod 


 

Post a Comment

0 Comments